Kis Wahm Mein Asir Tere Mubtala Hue

kis wahm mein asir tere mubtala hue

kab ahl-e-shauq dam-e-wafa se riha hue

aazad ho ke aur bhi be-dast-o-pa hue

kis dard-e-la-ilaj mein hum mubtala hue

manDla rahe the jin ke saron par kulagh o bum

wo faizyab-e-saya-e-baal-e-huma hue

dil-dadgan-e-baadiya-e-sarsar-o-sumum

shahzadgan-e-mulk-e-nasim-o-saba hue

karte na the jo sahil o dariya mein imtiyaz

kashti bhanwar mein aai to wo naKHuda hue

rasta dikha saka na jinhen nur-e-aftab

jalne lage charag to wo rahnuma hue

pa-mardi-e-yaqin se jo mahrum hain wo log

apne rafiq-e-rah hue bhi to kya hue

kis shan se gae hain shahidan-e-ku-e-yar

qatil bhi hath uTha ke sharik-e-dua hue

yaksani-e-hayat se ghabra gaya hai dil

muddat guzar gai koi tufan bapa hue

koshish thi farz hum ne bhi ki lekin is ke baad

apne tamam kaam supurd-e-KHuda hue

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Wahm Mein Asir Tere Mubtala Hue In English By Famous Poet Hameed Jalandhari. Kis Wahm Mein Asir Tere Mubtala Hue is written by Hameed Jalandhari. Read famous Poem Kis Wahm Mein Asir Tere Mubtala Hue for youth and Student by Hameed Jalandhari. Free Download Kis Wahm Mein Asir Tere Mubtala Hue in PDF.