Niyaz-o-naz Ka Paikar Na Arsh Par Thahra

niyaz-o-naz ka paikar na arsh par Thahra

zamin ki god mein utra to barwar Thahra

gada-e-kucha-e-ulfat ne aabru pai

dayar-e-shauq mein sultan se mo'tabar Thahra

jise nazar ne sunaya jise nazar ne suna

wo git barbat-e-hasti ka zaKHma-war Thahra

wafa ki rah mein nikle to rahdan ki tarah

tere jamal ka partaw bhi ham-safar Thahra

charagh dur se dekhun to raushni le lun

yahi tariq-e-gadai mera hunar Thahra

wo ek shaKHs ki gumnam tha KHudai mein

tumhaare nam ke sadqe mein namwar Thahra

wo durr-e-nab ki sipi mein band tha 'kausar'

kisi ne DhunD nikala to KHub-tar Thahra

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Niyaz-o-naz Ka Paikar Na Arsh Par Thahra In English By Famous Poet Hameed Kausar. Niyaz-o-naz Ka Paikar Na Arsh Par Thahra is written by Hameed Kausar. Read famous Poem Niyaz-o-naz Ka Paikar Na Arsh Par Thahra for youth and Student by Hameed Kausar. Free Download Niyaz-o-naz Ka Paikar Na Arsh Par Thahra in PDF.