Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage

wo chaal chal ki zamana bhi sath chalne lage

nigar-e-zist teri samt ruKH badalne lage

wafur-e-yas mein muzhda hai kis ke aane ka

ye aaj kyun sar-e-mizhgan charagh jalne lage

zamana pher le aankhen to kya gila us ka

sitam to ye hai ki tum bhi nazar badalne lage

mujhe ye Dar hai ba-in wasf-e-ehtiram-e-wafa

na teri chashm-e-mohabbat kahin badalne lage

ye dagh-e-sajda to nang-e-jabin hai ai zahid

agar na soz-e-mohabbat se dil pighalne lage

na puchh kis nigah-e-KHas ka tasarruf hai

qadam jo rah-e-mohabbat mein KHud sambhalne lage

'hamid' sham-e-ghariban ka kis liye shikwa

wo dekh jaanib-e-manzil charagh jalne lage

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage in PDF.