Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe

jazbaat tez-rau hain ki chashme ubal paDe

jab dard tham saka na to aansu nikal paDe

diwane se na kijiye diwangi ki baat

kya jaane kya zaban se us ki nikal paDe

ai dil maza to jab hai ki har zaKHm kha ke bhi

peshani-e-hayat pe hargiz na bal paDe

thin rahguzar-e-zist mein dushwariyan magar

hum rah-rawan-e-shauq the gir kar sambhal paDe

'hamid' hum apni manzil-e-gum-nam kya kahin

uTThe jidhar bhi panw usi samt chal paDe

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe In English By Famous Poet Hamid Allahabadi. Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe is written by Hamid Allahabadi. Read famous Poem Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe for youth and Student by Hamid Allahabadi. Free Download Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe in PDF.