Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein

ek jadugar hai aankhon ki basti mein

tare Tank raha hai meri chunari mein

mere saKHi ne KHali hath na lauTaya

Dheron dukh bandhe hain meri gaThDi mein

kaun badan se aage dekhe aurat ko

sab ki aankhen girwi hain is nagri mein

jin ki KHushbu chhed rahi hai aanchal ko

kaise phul wo Dal gaya hai jholi mein

jis ne mehr-o-mah ke khate likhne hon

main ek zarra kab tak us ki ginti mein

ishq hisab chukana chaha tha hum ne

sari umr sama gai ek kaTauti mein

harf-e-zist ko maut ki dimak chaT bhi le

kab se hun mahsur badan ki ghaTi mein

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein In English By Famous Poet Hamida Shahin. Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein is written by Hamida Shahin. Read famous Poem Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein for youth and Student by Hamida Shahin. Free Download Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein in PDF.