Mujhe Wirsa Nahin Mila

meri man ko tale lagane ki aadat nahin thi

us ke trunk bhi khule rahte the almariyan bhi

use mohabbat bhi wafar mili thi tauqir bhi

use saheliyan banane ki bhi ijazat thi aur hansne ki bhi

wo gham banT lene mein bhi aazad thi aur KHushiyan taqsim karne mein bhi

use bahut saraha jata tha aur chaha bhi

use waqar bhi diya gaya tha iKHtiyar bhi

use tale lagane ki na aadat thi na zarurat

us ka hath bhi khula tha aur dil bhi

us ki beTi har rose tale KHaridti hai

jagah jagah lagati hai

us ke pas sentne aur chhupane ko bahut kuchh hai

shadi ke agle hi roz

us ne apne pindar ki kirchiyan sameT kar daraaz mein rakkhin

izzat-e-nafs ke TukDe almari mein chhupae

apne waqar ki uDti dhajjiyan sameT kar trunk mein Dalin

har jagah tala lagana paDa

use na saheliyan banane ki ijazat hai na hansne ki

us ke labon par qufl zaruri hai

wo na kisi ka gham banT sakti hai na KHushiyan

use na waqar diya gaya hai na iKHtiyar

us ke hath bhi bandhe hue hain panw bhi

koi kisi trunk mein na dekh le

kisi daraaz mein na jhank le

koi aankhon mein na dekh le

koi dil mein na jhank le

tale lagana us ki zarurat bhi hai majburi bhi

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Wirsa Nahin Mila In English By Famous Poet Hamida Shahin. Mujhe Wirsa Nahin Mila is written by Hamida Shahin. Read famous Poem Mujhe Wirsa Nahin Mila for youth and Student by Hamida Shahin. Free Download Mujhe Wirsa Nahin Mila in PDF.