Na Jaane Kab Likha Jae
tahayyur ki fazaon mein
koi aisa parinda hai
jo pakDai nahin deta
hai koi KHwab aisa bhi
azal se hai jo an-dekha
koi aisi sada bhi hai
samaat se wara hai jo
basarat ki hadon se dur ek manzar hai jo ab tak
tasawwur mein nahin aaya
kahin kuchh hai
jo ek pal dil mein aa Thahre
to jism-o-jaan ke hone ka ek bain-e-hawala ho
jo giton mein utar aae
to is dharti se nile aasman tak wajd tari ho
jo lafzon mein rache to baat phulon ki tarah mahke
agar lamhon mein dhaDke to zamanon mein sada phaile
agar manzar ke andar ho
to binai ko apna haq ada karne ki jaldi ho
wo shayad hai
ek aisi dastan jo ruh ke andar hai poshida
ek aisi sans jo sine ki tah mein chhup ke soi hai
ek aisa chand jo aflak se bahar chamakta hai
muqaddar hi badal jae
use gar likh diya jae
hamare darmiyan hona
(1031) Peoples Rate This