Tulua Se Pahle

kabhi

yun hi

kisi shab chandni ka hath lagte hi

bina dastak ke khul jata hai ek kamre ka darwaza

darichon se koi madhosh-kun KHushbu nikalti hai

faza mein muskuraati hai

hayule se kai pardon pe bante hain bigaDte hain

koi mauhum aahaT phail jati hai samaat par

kitaben jag uThti hain koi safhe ulaTta hai

hawa mein sarsaraate hain adhuri nazm ke TukDe

faza mein tairte hain har taraf bhaTke hue misre

kahin maddham suron ka saz koi chheD deta hai

andhere ke samundar mein koi bajra sa chalta hai

purane git bahte hain

udasi tal deti hai

kabhi shishon pe halki nilgun lahren machalti hain

kisi aawaz ka saya khuli khiDki mein aata hai

kiran koi zara sa jhilmila kar TuT jati hai

samajh mein kuchh nahin aata

andhere mein bikharta kya hai kya tartib pata hai

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tulua Se Pahle In English By Famous Poet Hamida Shahin. Tulua Se Pahle is written by Hamida Shahin. Read famous Poem Tulua Se Pahle for youth and Student by Hamida Shahin. Free Download Tulua Se Pahle in PDF.