Hujra-e-KHwab Se Bahar Nikla

hujra-e-KHwab se bahar nikla

kaun ye mere barabar nikla

phaD-phaDaya mere bahar koi

aur parinda mere andar nikla

aankh se ashk nikal aae hain

ret se jaise samundar nikla

hijr ko KHwab mein dekha ek din

aur phir KHwab-e-muqaddar nikla

mere pichhe meri wahshat bhagi

main jo diwar gira kar nikla

aankh binai ganwa baiThi to

teri taswir se manzar nikla

raat sine ki haweli gunji

aur dil shor macha kar nikla

sham phaili to khula az-sar-e-nau

mera saya mera paikar nikla

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hujra-e-KHwab Se Bahar Nikla In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Hujra-e-KHwab Se Bahar Nikla is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Hujra-e-KHwab Se Bahar Nikla for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Hujra-e-KHwab Se Bahar Nikla in PDF.