Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile

wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile

zara sa lutf magar hum se ru-ba-ru bhi mile

jo koi waqif-e-adab-e-rang-o-bu bhi mile

to ashk-e-KHun mein bu-e-zaKHm-e-arzu bhi mile

hazar zaKHm ko kya be-shumar zaKHm lage

usi ke sath magar fursat-e-rafu bhi mile

ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin

yahan to hum ko kai rind be-wuzu bhi mile

hamein to aarzu-e-izn-e-haziri hai bahut

zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile

wo is ko kaise KHamoshi qarar de aaKHir

mere sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile

mile jahan bhi payam-e-hayat-e-nau mujh ko

maza to jab hai wahin mere yar tu bhi mile

wo ek aap hi apni misal hai 'aKHgar'

aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile in PDF.