Yaadon Ka Shahr-e-dil Mein Charaghan Nahin Raha

yaadon ka shahr-e-dil mein charaghan nahin raha

kya koi gham hi shoala-ba-daman nahin raha

ab e'tiraf-e-ahd-e-wafa kar rahe hain wo

jab eatibar-e-umr-e-gurezan nahin raha

nikle kuchh aur aabla-pai ki ab sabil

sahra mein koi KHar-e-mughilan nahin raha

baKHiya-gari-e-dil ke tasawwur mein gum hue

goya KHayal-e-jumbish-e-mizhgan nahin raha

ye soch kar ki KHugar-e-gham ho na jaun main

wo sargiran hua sitam arzan nahin raha

aazar-e-hijr apni jagah mustaqil magar

dil mujh se tere qurb ka KHwahan nahin raha

yaad-e-KHuda hi kaba-e-dil mein basaiye

ab ek but bhi dushman-e-iman nahin raha

imkan-e-wasl-e-yar to 'aKHgar' kabhi na tha

aazar-e-hijr-e-yar ka arman nahin raha

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Shahr-e-dil Mein Charaghan Nahin Raha In English By Famous Poet Haneef Akhgar. Yaadon Ka Shahr-e-dil Mein Charaghan Nahin Raha is written by Haneef Akhgar. Read famous Poem Yaadon Ka Shahr-e-dil Mein Charaghan Nahin Raha for youth and Student by Haneef Akhgar. Free Download Yaadon Ka Shahr-e-dil Mein Charaghan Nahin Raha in PDF.