Bikhar Ke Ret Hue Hain Wo KHwab Dekhe Hain

bikhar ke ret hue hain wo KHwab dekhe hain

meri nigah ne kitne sarab dekhe hain

sahar kahen to kahen kaise apni subhon ko

ki raat ugalte hue aaftab dekhe hain

koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein

jo mausam aaya hai us ke itab dekhe hain

main bad-guman nahin hun magar kitabon mein

tumhaare nam kai intisab dekhe hain

kabhi ki ruk gai barish guzar chuka sailab

kai ghar ab bhi magar zer-e-ab dekhe hain

koi hamari ghazal bhi mulahiza karna

tumhaare hum ne kai intiKHab dekhe hain

panah DhunDte guzri hai zindagi 'kaifi'

jhulasti dhup mein sae ke KHwab dekhe hain

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikhar Ke Ret Hue Hain Wo KHwab Dekhe Hain In English By Famous Poet Haneef Kaifi. Bikhar Ke Ret Hue Hain Wo KHwab Dekhe Hain is written by Haneef Kaifi. Read famous Poem Bikhar Ke Ret Hue Hain Wo KHwab Dekhe Hain for youth and Student by Haneef Kaifi. Free Download Bikhar Ke Ret Hue Hain Wo KHwab Dekhe Hain in PDF.