KHizan Mein ODh Ke Qaul-o-qarar Ka Mausam

KHizan mein oDh ke qaul-o-qarar ka mausam

bahaar DhunD rahi hai bahaar ka mausam

wo mere sath nahin hain to dil ke sahra par

samay bikher raha hai bahaar ka mausam

fareb KHud ko na dega to aur kya dega

na ras aae jise e'tibar ka mausam

tumhaare qurb ki maddham si ek hararat se

hai Dher rakh tale intizar ka mausam

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Mein ODh Ke Qaul-o-qarar Ka Mausam In English By Famous Poet Hanif Tarin. KHizan Mein ODh Ke Qaul-o-qarar Ka Mausam is written by Hanif Tarin. Read famous Poem KHizan Mein ODh Ke Qaul-o-qarar Ka Mausam for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download KHizan Mein ODh Ke Qaul-o-qarar Ka Mausam in PDF.