Nashsha Karne Ka Bahana Ho Gaya

nashsha karne ka bahana ho gaya

jab zara mausam suhana ho gaya

tujh se milna to kuja ai jaan-e-jaan

tujh ko dekhe ab zamana ho gaya

muD ke dekha jab bhi pichhe ki taraf

aaj dhundla kal fasana ho gaya

gulsitan-zade bahut hi shad hain

jab se zindan mein Thikana ho gaya

jit haq ki zalimon ke waste

KHun bahane ka bahana ho gaya

sach likhunga chahe miT jaun 'hanif'

jhuT ab mera nishana ho gaya

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashsha Karne Ka Bahana Ho Gaya In English By Famous Poet Hanif Tarin. Nashsha Karne Ka Bahana Ho Gaya is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Nashsha Karne Ka Bahana Ho Gaya for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Nashsha Karne Ka Bahana Ho Gaya in PDF.