Sanp Ka Saya Khwab Mere Das Jata Hai

kitni dafa to

baDha, ruka main us ki jaanib

sadiyon wo mahka kar mera zahir o baatin

kai yugon tak, us ne mujh ko yaad kiya

aur kaha ye, naddi hun main

naw bano tum Dolo mujh par

jhum uTho tan ki chandi sona pa kar

lekin mere jism ke virane se koi

har dam mujh ko tak raha hai

tan se aage

man-nagri mein jhank raha hai

nind nashe ke

gyan dhyan mein san raha hai

sar se qadam tak tan raha hai

(727) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sanp Ka Saya Khwab Mere Das Jata Hai In English By Famous Poet Hanif Tarin. Sanp Ka Saya Khwab Mere Das Jata Hai is written by Hanif Tarin. Read famous Poem Sanp Ka Saya Khwab Mere Das Jata Hai for youth and Student by Hanif Tarin. Free Download Sanp Ka Saya Khwab Mere Das Jata Hai in PDF.