Jaanta Usko Hun Dawa Ki Tarah

jaanta us ko hun dawa ki tarah

chahta us ko hun shifa ki tarah

hai dahan ghaeb aur kamar anqa

KHud bhi nayab ho huma ki tarah

chaal ne teri fitna-e-mahshar

pis Dala mujhe hina ki tarah

KHak chhani bahut pata na mila

wo hai nayab kimiya ki tarah

is qadar na-tawan 'haqir' hain hum

hil nahin sakte naqsh-e-pa ki tarah

(776) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jaanta Usko Hun Dawa Ki Tarah In English By Famous Poet Haqeer. Jaanta Usko Hun Dawa Ki Tarah is written by Haqeer. Read famous Poem Jaanta Usko Hun Dawa Ki Tarah for youth and Student by Haqeer. Free Download Jaanta Usko Hun Dawa Ki Tarah in PDF.