Ghurur-e-zabt Se Aah-o-fughan Tak Baat Aa Pahunchi

ghurur-e-zabt se aah-o-fughan tak baat aa pahunchi

hawas ne kya kiya dil se zaban tak baat aa pahunchi

sukun-e-dil se naqus o azan tak baat aa pahunchi

KHuda walon ki himmat se kahan tak baat aa pahunchi

KHilafat se jabin o aastan tak baat aa pahunchi

KHuda aur ibn-e-adam mein yahan tak baat aa pahunchi

mili thi aankh aur aah-o-fughan tak baat aa pahunchi

zara si baat thi lekin yahan tak baat aa pahunchi

hamari dastan mein zikr-e-qais-o-kohkan aaya

wahan se phir hamari dastan tak baat aa pahunchi

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurur-e-zabt Se Aah-o-fughan Tak Baat Aa Pahunchi In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Ghurur-e-zabt Se Aah-o-fughan Tak Baat Aa Pahunchi is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Ghurur-e-zabt Se Aah-o-fughan Tak Baat Aa Pahunchi for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Ghurur-e-zabt Se Aah-o-fughan Tak Baat Aa Pahunchi in PDF.