Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas

jama hain sare musafir na-KHuda-e-dil ke pas

kashti-e-hasti nazar aati hai ab sahil ke pas

sarban kis justuju mein hai yahan majnun kahan

ab bagula bhi na bhaTkega tere mahmil ke pas

ibtida-e-ishq yani ek mohlik hadsa

aa gai hasti yakayak maut ki manzil ke pas

neamaton ko dekhta hai aur hans deta hai dil

mahw-e-hairat hun ki aaKHir kya hai mere dil ke pas

ye tere dast-e-karam ko khinch lega ek din

ai KHuda rahne na de dast-e-dua sail ke pas

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas In English By Famous Poet Hari Chand Akhtar. Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas is written by Hari Chand Akhtar. Read famous Poem Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas for youth and Student by Hari Chand Akhtar. Free Download Jama Hain Sare Musafir Na-KHuda-e-dil Ke Pas in PDF.