Zindagi Kya Hai Wafa Kya Hai Aqidat Kya Hai

zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai

hum batate hain KHudaon ki haqiqat kya hai

main ne puchha hai sitaron se siyah raaton mein

kaun hai ku-e-gunah rah-e-tariqat kya hai

main ne haalat ki har aag mein jal kar jaana

rahat-e-qalb hai kya aur musibat kya hai

Tok deta hai bhale koi ghalat ho ki sahi

naseha ye to bata farz-e-nasihat kya hai

chand suraj ko sitaron ko parakhne walo

tum ko malum bhi hai chashm-e-basirat kya hai

kitne anjaan hain insan samajh baiThe hain

KHubsurat ho bashar phir to ye sirat kya hai

kis qadar dur 'hari' kesh chale aae ho

qadr thi des mein pardes mein qimat kya hai

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Kya Hai Wafa Kya Hai Aqidat Kya Hai In English By Famous Poet Hari Mehta. Zindagi Kya Hai Wafa Kya Hai Aqidat Kya Hai is written by Hari Mehta. Read famous Poem Zindagi Kya Hai Wafa Kya Hai Aqidat Kya Hai for youth and Student by Hari Mehta. Free Download Zindagi Kya Hai Wafa Kya Hai Aqidat Kya Hai in PDF.