Tha Aasman Par Jo Sitara Nahin Raha

tha aasman par jo sitara nahin raha

yaadash-ba-KHair ab wo hamara nahin raha

jo din guzar gae wo guzar hi gae so ab

yaadon ke ma-siwa koi chaara nahin raha

sail-e-rawan mein gum hai nishan-e-muhit-e-ab

ai mauj-e-muztarib wo kinara nahin raha

tanha the jab to aankh ke aansu bhi dil mein the

wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Aasman Par Jo Sitara Nahin Raha In English By Famous Poet Hasan Aabid. Tha Aasman Par Jo Sitara Nahin Raha is written by Hasan Aabid. Read famous Poem Tha Aasman Par Jo Sitara Nahin Raha for youth and Student by Hasan Aabid. Free Download Tha Aasman Par Jo Sitara Nahin Raha in PDF.