Aankhon Se KHwab Dil Se Tamanna Tamam-shud

aankhon se KHwab dil se tamanna tamam-shud

tum kya gae ki shauq-e-nazara tamam-shud

kal tere tishnagan se ye kya moajaza hua

dariya pe honT rakkhe to dariya tamam-shud

duniya to ek barf ki sil se siwa na thi

pahunchi dukhon ki aanch to duniya tamam-shud

shahr-e-dil-e-tabah mein pahunchun to kuchh khule

kya bach gaya hai rakh mein aur kya tamam-shud

ushshaq par ye ab ke ajab waqt aa paDa

majnun ke dil se hasrat-e-laila tamam-shud

hum shahr-e-jaan mein aaKHiri naghma suna chale

samjho ki ab hamara tamasha tamam-shud

ek yaad-e-yar hi to pas-andaz hai 'hasan'

warna wo kar-e-ishq to kab ka tamam-shud

(1922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se KHwab Dil Se Tamanna Tamam-shud In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Aankhon Se KHwab Dil Se Tamanna Tamam-shud is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Aankhon Se KHwab Dil Se Tamanna Tamam-shud for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Aankhon Se KHwab Dil Se Tamanna Tamam-shud in PDF.