Safar Diwar-e-girya Ka

tumhein is shahr se ruKHsat hue

kitna zamana ho chuka phir bhi

abhi tak mere kamre mein

tumhaare jism ki KHushbu ka Dera hai

ba-zahir to tumhaare baad abhi tak main

bahut hi mutmain

aur shant lagta hun

magar jab raat ke pichhle pahar

kamre mein aata hun

to jaane kyun achanak

meri aankhon mein

nami si tairne lagti hai

palken bhig jati hain

aur us lamhe

na jaane kyun mujhe shak sa guzarta hai

ajab ek wahima sa

mere dil mein sar uThata hai

ki is viran kamre mein

kahin diwar-e-girya to nahin rakh di kisi ne!

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Diwar-e-girya Ka In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Safar Diwar-e-girya Ka is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Safar Diwar-e-girya Ka for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Safar Diwar-e-girya Ka in PDF.