Kaun Dekhe Meri ShaKHon Ke Samar TuTe Hue

kaun dekhe meri shaKHon ke samar TuTe hue

ghar se bahar raston mein hain shajar TuTe hue

luT gaya din ka asasa aur baqi rah gae

sham ki dahliz par lal o guhar TuTe hue

yaad-e-yaran dil mein aai huk ban kar rah gai

jaise ek zaKHmi parinda jis ke par TuTe hue

raat hai aur aati jati saaten aankhon mein hain

jaise aaine bisat-e-KHwab par TuTe hue

aabgine pattharon par sar-nigun hote gae

aur hum bach kar nikal aae magar TuTe hue

mil gae miTTi mein kya kya muntazir aankhon ke KHwab

kis ne dekhe hain sitare KHak par TuTe hue

wo jo dil ki mamlikat thi babari masjid hui

bastiyan sunsan ghar viran dar TuTe hue

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Dekhe Meri ShaKHon Ke Samar TuTe Hue In English By Famous Poet Hasan Abidi. Kaun Dekhe Meri ShaKHon Ke Samar TuTe Hue is written by Hasan Abidi. Read famous Poem Kaun Dekhe Meri ShaKHon Ke Samar TuTe Hue for youth and Student by Hasan Abidi. Free Download Kaun Dekhe Meri ShaKHon Ke Samar TuTe Hue in PDF.