Hai Tanhai Mein Bahna Aansuon Ka

hai tanhai mein bahna aansuon ka

sabab chehron ki in shadabiyon ka

ba-zahir main bhi KHush aur tu bhi masrur

magar dekhe koi aalam dilon ka

wafa parchhain ki andhi parastish

mohabbat nam hai mahrumiyon ka

hai apni zindagi jitna purana

talluq aankh se viraniyon ka

har ek chehre pe hai tahrir gham ki

zaruri to nahin khulna labon ka

ye main hun ya koi masum bachcha

taaqub kar raha hai titliyon ka

'kamal' ab KHud bhaTakta phir raha hai

tamannai tha uDti KHushbuon ka

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Tanhai Mein Bahna Aansuon Ka In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Hai Tanhai Mein Bahna Aansuon Ka is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Hai Tanhai Mein Bahna Aansuon Ka for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Hai Tanhai Mein Bahna Aansuon Ka in PDF.