Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh

us ek ummid ko to rahat-e-safar na samajh

hai raste mein kahin saya-e-shajar na samajh

jo samne na raha us ka aks aankh mein hai

ab itna KHali bhi ye kasa-e-nazar na samajh

jo ruh mein na utar jae wo jamal nahin

jo dil-gudaz na kar de use hunar na samajh

nazar parakh dil-e-majruh nashtaron pe na ja

har aane wale ko tu apna chaaragar na samajh

jo fasl-e-gul ki tamanna mein ho gae barbaad

wo ba-murad hain gham un ka be-samar na samajh

har ek ghar mein na jab tak charagh jal jae

'kamal' raushan-o-abaad apna ghar na samajh

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh in PDF.