Gumnam Shahid Ka Katba

sipah-gar

ai shahid-e-hurmat-e-arz-e-watan

tera lahu buniyaad mein hai

aisi nadida fasilon ki

jo har jaanib

watan ki sarhadon par

dushmanon ki rah mein hail rahengi

teri marg-e-be-nishan se

ho gaya daim nishan tere watan ka

tu raha gumnam

lekin ta-qayamat nam teri sar-zamin ka

yaad rakkha jaega

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gumnam Shahid Ka Katba In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Gumnam Shahid Ka Katba is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Gumnam Shahid Ka Katba for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Gumnam Shahid Ka Katba in PDF.