Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen

hum sab ki yaadon mein hai ek sabz-daricha

jis mein rakkha hai gul-dan

is gul-dan mein ab tak taza phul saje hain

phulon mein do aankhen hain

jo mazi ki tarik guzargahon mein

jaise shamen ban kar raushan hain

un aankhon aur hum logon mein

ab waqt ka sahra hail hai

dur hain lekin ye aankhen har lamha dekhti rahti hain

hum kaise hain kis des mein hain

kis bhes mein hain kin logon mein hain

kaun hamein KHushiyan deta hai kaun hamein gham deta hai

un se bichhaD ke kis se mile

aur kis se hue hum log juda

dukh mein aur tanhai mein wo kaun tha jis ko yaad kiya

hum roen to aaj bhi jaise ye aankhen ro deti hain

hum KHush hon to ye bhi KHush ho jati hain

in aankhon ka hamein sahaara rahta hai

jaise musafir dasht mein ho

to us ka sathi us par raushan ek sitara rahta hai

lekin hum logon ke dil ye soch ke akasr kanp uThte hain

jab ye aankhen bujh jaengi

sabz-daricha ho jaega band to aaKHir kya hoga

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen in PDF.