Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain

jalti hui ruton ke KHaridar kaun hain

ai paikar-e-ghazal tere bimar kaun hain

KHushbu ki saaton ke talabgar kaun hain

is zulf-e-mushk-bu ke giraftar kaun hain

kab tak chhupe rahenge azal KHamushi ke bhed

shahr-e-sada ke mahram-e-asrar kaun hain

kirnon ki rahguzar pe uDti hai dhul si

jo us taraf gae hain wo ji-dar kaun hain

sinon mein le ke walwala-e-zindagi ki aag

asr-e-rawan se bar-sar-e-paikar kaun hain

sadiyon se muntazir hain sulagti masafaten

aasaish-e-junun ke talabgar kaun hain

sarmast kar gai jinhen apne lahu ki lai

wo arsa-e-nabard ke fankar kaun hain

mein to gharib-e-shahr-e-suKHan hun magar 'jalil'

farman-rawa-e-kishwar-e-izhaar kaun hain

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain in PDF.