Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai

nibhao ab use jo waza bhi bana li hai

wagarna dahr to ahl-e-wafa se KHali hai

harim-e-dil mein teri aarzu ne raushan ki

wo aag jis ne shab-e-zindagi ujali hai

teri nigah-e-karam hai wagarna ai gham-e-dost

zamana kya tere shaidaiyon se KHali hai

sitam hai meri taraf pyar se nazar na kare

wo but ki jis mein mere fan ne jaan Dali hai

baja ki husn ka ehsas hai fareb-e-nazar

magar wo naqsh jo dil mein hai kab KHayali hai

ufuq se gard chhaTe to KHabar mile shayad

sahar tulu hui hai ki hone wali hai

ab ahl-e-bazm gham-e-tirgi karen to karen

hamare pas to jo shama thi jalali hai

hawa ke dosh pe uDti hui KHabar to suno

hawa ki baat bahut dur jaane wali hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai in PDF.