Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum

fikr-e-manzil hai na nam-e-rahnuma lete hain hum

apna zauq-e-rah-rawi KHud aazma lete hain hum

kasrat-e-gham mein bhi akasr muskura lete hain hum

zulmat-e-hasti mein yun shamen jala lete hain hum

kuchh na puchho himmaton se kaam kya lete hain hum

gham ko baada dil ko paimana bana lete hain hum

muntashir hone ko aati hai jo bazm-e-arzu

hauslon ki phir nai mahfil saja lete hain hum

qafila aa kar sar-e-manzil bhi ho jata hai gum

rahzan ko jab kabhi rahbar bana lete hain hum

zulm-e-dauran ko ata karna hai taza hausla

tir jo aata hai sine se laga lete hain hum

kyun mizaj-e-husn mein paida karen ek barhami

apne dil ko apna afsana suna lete hain hum

is qadar charke lage hain dahr mein ai ham-nashin

KHar kya phulon se bhi daman bacha lete hain hum

multafit hota nahin jab saqi-e-dauran 'hasan'

mai-kade mein baDh ke KHud saghar uTha lete hain hum

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum In English By Famous Poet Hasan Azimabadi. Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum is written by Hasan Azimabadi. Read famous Poem Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum for youth and Student by Hasan Azimabadi. Free Download Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum in PDF.