Chashm-e-junun Mein Husn-e-salasil Hai Be-qarar

chashm-e-junun mein husn-e-salasil hai be-qarar

kis ki gali mein jashn-e-gareban manaen hum

shayad kisi ka hath baDhe ban ke muddai

ilzam ki talash mein daman sajaen hum

rauzan banega dida-e-yaqub ek din

apne liye KHud aap hi zindan banaen hum

chhupne lagi hai zist andheron ki god mein

aao to phir charagh-e-hawadis jalaen hum

shahr-e-tarab mein milte hain apne bhi naqsh-e-pa

aae na gar yaqin to aao dikhaen hum

jalwe hi Das rahe hain shuur-e-jamal ko

kis ko hadis-e-wadi-e-aiman sunaen hum

dasht-e-talab ke KHar bhi dil mein chubhoiye

phir kaise lab pe harf-e-taqaza na laen hum

uryan kiya salib ne hum ko bhi apne sath

socha tha aasman-e-chahaarum pe jaen hum

phir garm ret uD ke chali bastiyon ki samt

mahmil-nashin ko DhunDh ke sahra mein laen hum

zahrab ban chuka hai ye ehsas-e-agahi

ab kis ko baKHt dard ka darman banaen hum

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-junun Mein Husn-e-salasil Hai Be-qarar In English By Famous Poet Hasan Bakht. Chashm-e-junun Mein Husn-e-salasil Hai Be-qarar is written by Hasan Bakht. Read famous Poem Chashm-e-junun Mein Husn-e-salasil Hai Be-qarar for youth and Student by Hasan Bakht. Free Download Chashm-e-junun Mein Husn-e-salasil Hai Be-qarar in PDF.