Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala

aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe

bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala

bismilon ko zaKHm zaKHmon ko mubarak lazzaten

su-e-maqtal phir koi tegh-o-namak-dan le chala

KHun-e-nahaq ki haya boli zara munh Dhank lo

naz jab un ko sar-e-KHak-e-shahidan le chala

kaT gaya aashiq sar-e-bazar sauda bik gaya

jaan-e-laila ishq ne dil husn-e-KHuban le chala

KHak-e-ashiq rokne ko dur tak lipTi gai

jab samand-e-naz ko wo garm-jaulan le chala

mere ghar tak panw paD kar un ko laya tha niyaz

naz daman khinchta su-e-raqiban le chala

dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the

dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala in PDF.