Un Ka Jalwa Nahin Dekha Jata

un ka jalwa nahin dekha jata

dekh dekha nahin dekha jata

qatl karne ki wo jaldi thi tumhein

ab taDapna nahin dekha jata

chashm-e-KHun-bar KHuda rahm kare

tera rona nahin dekha jata

ulfat unki nahin chhoDi jati

haal dil ka nahin dekha jata

dekhne hi ke liye hain aankhen

un se kya kya nahin dekha jata

par teri barq-e-tajalli ka jamal

KHub dekha nahin dekha jata

nama pura wo 'hasan' kya dekhen

nam pura nahin dekha jata

(693) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Un Ka Jalwa Nahin Dekha Jata In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Un Ka Jalwa Nahin Dekha Jata is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Un Ka Jalwa Nahin Dekha Jata for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Un Ka Jalwa Nahin Dekha Jata in PDF.