Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo

apni wajh-e-barbaadi jaante hain hum lekin kya karen bayan logo

maslahat-parasti par har qadam raha hum ko jurm ka guman logo

KHair hum to kanTe the aur hamein kuchalna bhi waqt ka taqaza tha

phul jin ko samjhe the ab suna hai un se bhi hain wo sargiran logo

jis kai ishq ki hum par tohmaten lagate ho us hasin paikar par

hum ne dil hi khoya hai tum jo dekhte shayad war dete jaan logo

kya sabab bataen hum nala-e-shabana ka puchh lo in aankhon se

is nigah-e-jadu mein apne har tabassum ki hain kahaniyan logo

waqt ki nazakat ka aaj jo taqaza hai jurm kal na kahlae

toD do KHamoshi ke aahani hisaron ko khol do zaban logo

sher kya ghazal kaisi ai 'hasan' ye fan hai jis ko kuchh hi samjhenge

DhunDh pao to DhunDho in chhupe ishaaron mein apni dastan logo

(1626) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo In English By Famous Poet Hasan Kamal. Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo is written by Hasan Kamal. Read famous Poem Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo for youth and Student by Hasan Kamal. Free Download Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo in PDF.