Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe

khule dilon se mile fasla bhi rakhte rahe

tamam umr ajab log mujh se uljhe rahe

hanut titliyan show-case mein nazar aain

sharir bachche gharon mein bhi sahme sahme rahe

ab aaina bhi mizajon ki baat karta hai

bikhar gae hain wo chehre jo aks bante rahe

main aane wale dinon ki zaban jaanta tha

isi liye meri ghazlon mein phul khilte rahe

daraKHt kaT gaya lekin wo rabte 'nasir'

tamam raat parinde zamin pe baiThe rahe

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe In English By Famous Poet Hasan Nasir. Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe is written by Hasan Nasir. Read famous Poem Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe for youth and Student by Hasan Nasir. Free Download Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe in PDF.