Ek Bhi Harf Na Tha KHush-KHabari Ka Likkha

ek bhi harf na tha KHush-KHabari ka likkha

nama-e-waqt mila aur kisi ka likkha

aa base kitne nae log makan-e-jaan mein

baam-o-dar par hai magar nam usi ka likkha

mauja-e-ashk se bhigi na kabhi nok-e-qalam

wo ana thi ki kabhi dard na ji ka likkha

koi jiddat to koi husn-e-taghazzul samjha

marsiya jab bhi koi apni sadi ka likkha

baat shirin si lagi fan ke taraf-daron ko

qissa har-chand 'hasan' koh-kani ka likkha

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Bhi Harf Na Tha KHush-KHabari Ka Likkha In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Ek Bhi Harf Na Tha KHush-KHabari Ka Likkha is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Ek Bhi Harf Na Tha KHush-KHabari Ka Likkha for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Ek Bhi Harf Na Tha KHush-KHabari Ka Likkha in PDF.