Jab Kabhi Mere Qadam Su-e-chaman Aae Hain

jab kabhi mere qadam su-e-chaman aae hain

apna dukh dard liye sarw o saman aae hain

panw se lag ke khaDi hai ye gharib-ul-watani

us ko samjhao ki hum apne watan aae hain

jhaD lo gard-e-musarrat ko biTha lo dil mein

bhule-bhaTke hue kuchh ranj o mehan aae hain

jab lahu roe hain barson to khuli zulf-e-KHayal

yun na is nag ko lahrane ke fan aae hain

kuchh ajab rang hai is aan tabiat ka 'naim'

kuchh ajab tarz ke is waqt suKHan aae hain

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Kabhi Mere Qadam Su-e-chaman Aae Hain In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Jab Kabhi Mere Qadam Su-e-chaman Aae Hain is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Jab Kabhi Mere Qadam Su-e-chaman Aae Hain for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Jab Kabhi Mere Qadam Su-e-chaman Aae Hain in PDF.