Kise Bataun Ki Wahshat Ka Faeda Kya Hai

kise bataun ki wahshat ka faeda kya hai

hawa mein phul khilane ka qaeda kya hai

payambaron ne kaha tha ki jhuT haarega

magar ye dekhiye apna mushahida kya hai

tamam umr ki zahmat ka ajr ye duniya

ye kis se puchhiye aaKHir muahida kya hai

sabhi KHamosh hain afsurdagi ka daftar hain

khule to kaise ki wo hukm-e-aeda kya hai

usi ka KHwab hai meri nawa-e-KHwab 'naim'

mera wajud bhi us se alahada kya hai

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise Bataun Ki Wahshat Ka Faeda Kya Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Kise Bataun Ki Wahshat Ka Faeda Kya Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Kise Bataun Ki Wahshat Ka Faeda Kya Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Kise Bataun Ki Wahshat Ka Faeda Kya Hai in PDF.