Be-iltifati
main ne har gham mein tera sath diya hai ab tak
teri har taza masarrat pe hua hun masrur
apni qismat ke badalte hue dhaaron ke siwa
teri qismat ke bhanwar se bhi hua hun majbur
tere sine ka har ek raaz bata sakta hun
mujh mein poshida nahin koi tera soz-e-darun
fikr-e-manus pe zahir hai har ek KHwab-e-jamil
aur har KHwab se milta hai tujhe kitna sukun
aaj tak tu ne magar mujh se na puchha hai kabhi
kyun mere gham se tera chehra utar jata hai?
jab mere dil mein lahakte hain masarrat ke kanwal
kyun tera chehra masarrat se nikhar jata hai?
(984) Peoples Rate This