Sukhe Hue DaraKHt Ke Patton Ko Dekhna

sukhe hue daraKHt ke patton ko dekhna

phir chehra-e-hatyat ke zaKHmon ko dekhna

KHush-rangi-e-hayat ka paoge aks tum

patthar uchhaal kar zara lahron ko dekhna

meri nazar mein ye bhi ibaadat KHuda ki hai

shafqat bhari nigah se bachchon ko dekhna

is waste main pas hi rakhta hun aaina

mushkil hai apni aankh se jazbon ko dekhna

taKHrib-e-kaenat ki zinda misal hai

sahil pe intishaar ke zaKHmon ko dekhna

jakDenge ek din wahi rishton ke jal mein

ho jae dhund saf to apnon ko dekhna

(1575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukhe Hue DaraKHt Ke Patton Ko Dekhna In English By Famous Poet Hasan Nizami. Sukhe Hue DaraKHt Ke Patton Ko Dekhna is written by Hasan Nizami. Read famous Poem Sukhe Hue DaraKHt Ke Patton Ko Dekhna for youth and Student by Hasan Nizami. Free Download Sukhe Hue DaraKHt Ke Patton Ko Dekhna in PDF.