Thahre Pani Ko Wahi Ret Purani De De

Thahre pani ko wahi ret purani de de

mere maula mere dariya ko rawani de de

aaj ke din karen tajdid-e-wafa dharti se

phir wahi subh wahi sham suhani de de

teri miTTi se mera bhi to KHamir uTTha hai

meri dharti tu mujhe meri kahani de de

wo mohabbat jise hum bhul chuke barson se

us ki KHushbu hi bataur ek nishani de de

tapte sahraon pe ho lutf-o-karam ki barish

KHushk chashmon ke kinaron ko bhi pani de de

dida-o-dil jise ab yaad kiya karte hain

wahi chehra wahi aankhen wo jawani de de

jis ki chahat mein 'hasan' aankhen bichhi jati hain

meri aankhon ko wahi lal-e-yamani de de

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thahre Pani Ko Wahi Ret Purani De De In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Thahre Pani Ko Wahi Ret Purani De De is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Thahre Pani Ko Wahi Ret Purani De De for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Thahre Pani Ko Wahi Ret Purani De De in PDF.