Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf

us ki aankhen hare samundar us ki baaten barf

phir bhi naqsh hua hai dil par us ka ek ek harf

koi bhare kanTon se daman koi phul chune

apna apna daman sab ka apna apna zarf

us ki chah mein ranjha ban kar bela bela ghume

dhup ke is sahra mein apni umr hui hai sarf

ek duje ko dekh na pae barson bit gae

aankhon ki putli mein kho kar rah gae kitne harf

sukhe dariyaon ki surat qatra qatra tarsen

jaane kab chamkega suraj kab pighlegi barf

(1188) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf In English By Famous Poet Hasan Rizvi. Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf is written by Hasan Rizvi. Read famous Poem Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf for youth and Student by Hasan Rizvi. Free Download Uski Aankhen Hare Samundar Uski Baaten Barf in PDF.