Chale Gae Ho Sukun-o-qarar-e-jaan Le Kar

chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar

hum apne dard ko jaen kahan kahan le kar

bahut dinon mein mila hai payam-e-mausam-e-gul

nasim-e-subh chali hai kashan kashan le kar

ab apne apne muqaddar pe baat Thahri hai

uTha hai abr-e-guhar-bar bijliyan le kar

yahan na main hun na tu hai na koi shahnai

pahunch gai hai teri aarzu kahan le kar

nae hain jism ke taron pe ruh ke naghme

uThe hain bazm se ek kaif-e-jawedan le kar

gham-e-hayat ne fursat na di sunane ki

chale the hum bhi mohabbat ki dastan le kar

(1231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Gae Ho Sukun-o-qarar-e-jaan Le Kar In English By Famous Poet Hasan Tahir. Chale Gae Ho Sukun-o-qarar-e-jaan Le Kar is written by Hasan Tahir. Read famous Poem Chale Gae Ho Sukun-o-qarar-e-jaan Le Kar for youth and Student by Hasan Tahir. Free Download Chale Gae Ho Sukun-o-qarar-e-jaan Le Kar in PDF.