KHud Ko Itna Jo Hawa-dar Samajh Rakkha Hai

KHud ko itna jo hawa-dar samajh rakkha hai

kya hamein ret ki diwar samajh rakkha hai

hum ne kirdar ko kapDon ki tarah pahna hai

tum ne kapDon hi ko kirdar samajh rakkha hai

meri sanjida tabiat pe bhi shak hai sab ko

baz logon ne to bimar samajh rakkha hai

us ko KHud-dari ka kya paTh paDhaya jae

bhik ko jis ne purus-kar samajh rakkha hai

tu kisi din kahin be-maut na mara jae

tu ne yaron ko madad-gar samajh rakkha hai

(2263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Ko Itna Jo Hawa-dar Samajh Rakkha Hai In English By Famous Poet Haseeb Soz. KHud Ko Itna Jo Hawa-dar Samajh Rakkha Hai is written by Haseeb Soz. Read famous Poem KHud Ko Itna Jo Hawa-dar Samajh Rakkha Hai for youth and Student by Haseeb Soz. Free Download KHud Ko Itna Jo Hawa-dar Samajh Rakkha Hai in PDF.