Nazar Na Aae Hum Ahl-e-nazar Ke Hote Hue

nazar na aae hum ahl-e-nazar ke hote hue

azab-e-KHana-ba-doshi hai ghar ke hote hue

ye kaun mujh ko kinare pe la ke chhoD gaya

bhanwar se bach gaya kaise bhanwar ke hote hue

ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai

ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue

tu is zamin pe do-gaz hamein jagah de de

udhar na jaenge hargiz idhar ke hote hue

ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kya hai

safar akele kiya ham-safar ke hote hue

(1243) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Na Aae Hum Ahl-e-nazar Ke Hote Hue In English By Famous Poet Haseeb Soz. Nazar Na Aae Hum Ahl-e-nazar Ke Hote Hue is written by Haseeb Soz. Read famous Poem Nazar Na Aae Hum Ahl-e-nazar Ke Hote Hue for youth and Student by Haseeb Soz. Free Download Nazar Na Aae Hum Ahl-e-nazar Ke Hote Hue in PDF.