Jo Bhi Yahan Hua Wo Bahut Hi Bura Hua

jo bhi yahan hua wo bahut hi bura hua

har aadmi ka zehn hai ab tak jala hua

miTTi ko sunghne se koi faeda nahin

main ja raha hun naqsh-e-wafa chhoDta hua

rauzan bana rahe hain KHala mein kiran ke tir

suraj isi liye hai zamin par jhuka hua

hum sah rahe hain apne azizon ke dard-o-gham

aaya jo dast-o-pa liye be-dast-o-pa hua

ek shaKHs mere sath safar mein raha magar

manzil qarib aai to mujh se juda hua

mujh ko kisi ki baat ki parwa nahin abhi

main ji raha hun shahr mein tanha to kya hua

afsos ki nahin ye tajjub ki baat hai

kaise guzar gaya wo mujhe dekhta hua

tum ne mere liye to bahut kuchh kiya magar

kya tum ko ai 'hasir' koi faeda hua

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Yahan Hua Wo Bahut Hi Bura Hua In English By Famous Poet Haseer Noori. Jo Bhi Yahan Hua Wo Bahut Hi Bura Hua is written by Haseer Noori. Read famous Poem Jo Bhi Yahan Hua Wo Bahut Hi Bura Hua for youth and Student by Haseer Noori. Free Download Jo Bhi Yahan Hua Wo Bahut Hi Bura Hua in PDF.