Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya

waqt ka suraj jalan ke rup mein jab aa gaya

sang-tan par dhup ke sailab ko roka gaya

past himmat ke zariye ho gaya radd-e-amal

hum ko be-maqsad dilasa de ke bahlaya gaya

be-zaban zaKHmon ko fart-e-KHwahishat-e-zist ko

jo na samjha ghair-zimm-e-dar wo samjha gaya

dard ki lahron ne rakkha muztarib anfas ko

nam ke tufan se jism-e-arzu Dhanpa gaya

aaKHiri baaton ki ruposhi ke wo qail na the

kahne walon ko magar kahne se bhi roka gaya

hum bachate hi rahe us ko mohabbat se 'hasir'

apni harakat se magar wo KHud yahan pakDa gaya

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya In English By Famous Poet Haseer Noori. Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya is written by Haseer Noori. Read famous Poem Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya for youth and Student by Haseer Noori. Free Download Waqt Ka Suraj Jalan Ke Rup Mein Jab Aa Gaya in PDF.