Parinda Qaid Mein Kul Aasman Bhul Gaya

parinda qaid mein kul aasman bhul gaya

riha to ho gaya lekin uDan bhul gaya

mere shikar ko tarkash mein tir laya magar

wo meri jaan ka dushman kaman bhul gaya

use to yaad hai sara jahan mere siwa

main us yaad mein sara jahan bhul gaya

wo shaKHs zindagi bhar ka thaka hua tha magar

jo panw qabr mein rakkhe thakan bhul gaya

gharib-e-shahr ne rakkhi hai aabru warna

amir-e-shahr to urdu zaban bhul gaya

tamam shahr ka naqsha banane wala 'raza'

junun-e-shauq mein apna makan bhul gaya

(2826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinda Qaid Mein Kul Aasman Bhul Gaya In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Parinda Qaid Mein Kul Aasman Bhul Gaya is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Parinda Qaid Mein Kul Aasman Bhul Gaya for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Parinda Qaid Mein Kul Aasman Bhul Gaya in PDF.