Tere KHayal Teri Aarzu Se Dur Rahe

tere KHayal teri aarzu se dur rahe

nawab ho ke bhi hum lucknow se dur rahe

badan ke zaKHm to chaaragaron ne si Dale

magar ye ruh ke chhaale rafu se dur rahe

zamin pe Tapka to ye inqalab laega

use bata do, wo mere lahu se dur rahe

kiya hai hum ne tayammum bhi KHak-e-maqtal par

namaz-e-ishq paDhi aur wuzu se dur rahe

meri zaban ka charcha tha aasmanon par

zamin wale meri guftugu se dur rahe

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Teri Aarzu Se Dur Rahe In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Tere KHayal Teri Aarzu Se Dur Rahe is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Tere KHayal Teri Aarzu Se Dur Rahe for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Tere KHayal Teri Aarzu Se Dur Rahe in PDF.