Zaminon Mein Sitare Bo Raha Hun

zaminon mein sitare bo raha hun

mujhe hargiz na kahna ro raha hun

gawahi den samundar chand sahil

akela hun kabhi main do raha hun

use lauTa diya main ne ye kah kar

abhi jao abhi main so raha hun

mohabbat ki kahani bhi ajab hai

jise paya nahin tha kho raha hun

purane par nae kuchh zaKHm kha kar

lahu se main lahu ko dho raha hun

duaon ke wasile se main 'hashim'

yahan ka tha wahan ka ho raha hun

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaminon Mein Sitare Bo Raha Hun In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Zaminon Mein Sitare Bo Raha Hun is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Zaminon Mein Sitare Bo Raha Hun for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Zaminon Mein Sitare Bo Raha Hun in PDF.